Ap kis tarh (Cytotec or Misoprostol ) ki golion se Iskatay Hamal kar sktay hain?

Aik Aurat Hamal kay 12 haftay tk Iskath-e-Hamal khud kar skti hai. Sub se mehfooz tareeka

(Misfepristone) Iskath-e-Hamal goli Mifegyn (RU 486), Cytotec, Mibetec, Prostokos, Arthrotec, Oxaprost, Cyprostol ya Misotrol hain. Agar ape k aisy Mulk main rehtay hain jahan par Iskatay Hamal kay bare main koi maloomat nhi or ap Iskath-e-Hamal karwana chahtay hain tu bara-e-meharbani hamari is website pe khawateen rabta Karen. (www.womenonweb.org).

Jins, Iskath-e-Hamal karwana or Jay-e-Pediesh.

Iskath-e-Hamal ki waja se Misoprostol ya Cytotec istemal kartay howay 90 % kamyabi ho jati hai. Agar ye pehli bar mofeed na ho tu AP 3 din kay bad dobara koshish kar skti hain. Ye maloomat Banul Aqwami Idara-e-Sehat se tasdeeq shuda hai. Jo khawaten aisy mumalik main rehti hain jahan Iskatay Hamal ki sahoolat kanooni tor par mojood hai. or aisi khawateen jin kay mumalik main ye sahoolat mojood nhi wo (https://www.womenonwaves.org/en/map/country) par doctor se rabta kar skti hain.

Kuch khawateen Iskatay Hamal karnay kay liye ghair moasar or jan lewa tareekay istemal karti hain. Jis main apnay pait pe chot lagana hai ye intehai Khatarnak sabit ho skta hai. Is tarhan kay tareeqay se pait kay andar gehray zakham parnay ka andeesha hota hai. Bht koon bhi beh skta hai or mout bhi ho skti hai.           

Boht si khawateen kay liye hamal ko khatam karna both mushkil faisla hota hai. Jub kay khawateen apnay mislay doctors ko sahi tarhan se nhi bata skti. Is sorat main hum oun khawateen ko mashwara detay hain kay wo apnay ghar main kisi rishtadar ya ghar ki ourat se is bat ka zikar Karen jo is bare main janti ho ya samjhti ho.

Khawateen apnay Hamal ko khatam karnay kay liye dosray zaraye se bhi maloomat le skti hain.  Maslan agar koi khatoon Iskatay Hamal karwana chahti hai tu wo pehle maloomat hasil kare ya agar akay is kam ko karna chahti hai tu kisi dosri khatoon ki madad le. Agar ap ka koi bhi sawal Iskatay Hamal kay bare main hai ya phi rap kuch bhi pochna chahti hain tu humain Email Karen : info@womenonweb.org

               

 

Misoprostol kay zarye Iskath-e-Hamal  kesy kam karta hai?

Misoprostol  Iskath-e-Hamal  kay 12 haftay tak kam karti hai, Is kay bad Kuch pecheedgi ya tibi zarorat paish aa skti hai. Agar ap 12 haftay walay Misoprostol walay tareekay kay bare main soch rahay hain, Tu hum se rabta Karen, ye tareeka sifr 12 haftay wali hamila khawateen kay liye hai.  

Misoprostol Bacha dani kay dabawo ya tanawo ka bais ban skti hai. Aik nateeja kay tor par pait kay  Hamal (Expels) or aik dard-nak dard, aik aam Haiz, Matli, Keh se ziyada nhi. Indamin-e-hani se khoon any ka imkan ho bhi skta hai or nhi bhi. Baki tamam Tareeko main Khoon kay anay ka imkan bht ziyada hota hai.

Magar Misoprostol kay istemal se 90 % tak kamyabi ho skti hai. Misoprostol Duniya kay takreeban tamam medical stores main Payi jati hai.

 

Misoprostol ki waja se Iskath-e-Hamal kay Tajarbat, Khatrat or Khadshat?

Kabhi kabhar Iskath-e-Hamal 15 se 20 pecheedgiyon ka shikar hota hai. Tamam hamela door apnay main, Agar doran Iskath-e-Hamal koi bhi Masla ho tu Aurat kabhi bhi doctor ya hospital ja skti hai.

Kabhi kabhar na chahtay howay bhi Iskath-e-Hamal ho skta hai. Is kay ilwa koi or aisa rasta nhi jis se Iskath-e-Hamal kay bare main maloomat hasil ki ja skay.

  • Ab hum kuch aisi maloomat faraham Karen gi jis se Khawateen Iskath-e-Hamal kay bare main jan jaye gi.
  • Aurat kesy jan skti hai kay wo Hamila hai?

Koi bhi Aurat ultra sound, Test or janch-partal se jan skti hai kay wo Hamila hai.

  • Misoprostol sirf osi sorat main istemal karna chahye jub Aurat janti ho kay wo 100 % Hamila hai or wo apna Hamal khatam kara chahti hai.
  • Test, Ultra sound se pata chal jata hai kay Aurat kitnay Haftay, Maheenay ya arsay se Hamila hai.
  • Misoprostol 12 Haftay ya os se ziyada arsa guzarnay kay bad istemal nhi karni chahye.
  • 12 Haftay ka matlab 84 Days, Akhari Mahwari kay pehle din, Agar koi bhi Aurat ye sochti hai kay wo 12 Haftay se ziyada ki Hamila hai ya reports se maloom howa hai tu hum aisi Aurat ko Misoprostol lene ki kabhi bhi Talkeen nhi Karen gy.  Osy kisi hospital main kisi specialist doctor ko dikhana chahye.
  • Misoprostol is surat main bhi kam kar skti hai magar is surat main Khoon ka bharai mikdar main anay ka chance hota hai. Is k ilawa Hamal kay akhir tk bht mushkilat ho skti hain or is ka dard bht shaded hota hai.

 

Kisi Bhi Khatoon ko Akele Iskath-e-Hamal nhi karna chahye?

  • Iskath-e-Hamal kartay waqt Kuch baton ka khayal karna chahye. Apnay Hamsafar, Dost ya Ristadar kay sth is bat ko share kia jaye jo is kay bare main maloomat rakhta ho, wo ap ko madad kar skta hai, Kunkay agar ek bar khoon ana shoro ho jaye tub ht mushkil ho jati hai. Aisi sorat main doctor ya kareebi hospital se rabta Karen.

 

  • Misoprostol istemal ki ja skti hai kisi bhi doctor ya tabeeb kay mashwaray kay baghair agr ap ko mukamal agahi ho tu, choti moti bemari koi bat nhi magar koi bari bemari na ho.  Maslan Shadeed (Amenia) masla bana skti hai. Is tarhan ki bemari main khoon kay ziyada anay ka khatra hota hai.

 

Kuch bemariyan Iskath-e-Hamal karwanay main madadgar sabit hoti hai. Aisy Mumalik jis main Iskath-e-Hamal karwanay pr pabandi ho Ilaj kay doran muktalif Nasha-awar adoyat  ya kisi bhi (Alcholic Acid)

Lene pr pabandi hoti hai or ilaj main farq parh skta hai.

 

Khawateen ko pori tawajo deni chahye ki oun ki sehat kesi hai. Agar dard ho tu (Ibuprofen) ietemal Karen, ya pani ki garm bottle ya garam karne wala pad istemal kar skti hai magar nasa-awar Adoyat istemal nhi kar skti.

 

Misoprostol Istemal nhi karna chahye Agar (Ectopic Extra-uterine) Hamal ho tu.

Ek (Etpoic) ya (Extra-Uterine) mahawara-e-hamal REHAM bacha dani main nhi hai. Ectpoic ka Ultrasoud kay zariye maloom kia ja skta hai. Kisi bhi Gynecologist doctor se is kay bare main mashwara karna lazmi hai. Agra aisa na kia jaye tu bhari mikdar main khoon nikalnay or andarooni zakhm banany ka khatra hota hai.Tambohi tube or (Fallopian Tube) kay bhi khoon nikalay or jamnay ka khatra hota hai. Gynecologist Doctor he mulk main aisy mamelat ko samjhti or deal karti hain. Har os mulk main jahan Iskahat-e-Hamal par pabandi ho wahan pe Ectopic Misoprostol ko istemal nhi kia ja skta.

 

Misoprotol istemal nhi kia ja skta agar koi Orat pehle se (IUD) Intera Uterine Device istemal kar rahi ho.

(IUD) Intera Uterine Device istemal kar rahi ho.

Intera Uterine Aala ya device hamal ko roknay ki liye istemal ki jati hai. Ye 3cm tk ka ala hota hai jisy doctor Bacha dani main dakhil karta hai. Agar koi bhi orat ye ala istemal kar rahi ho tu wo Ultrasound karwaye. Jis se Ectopic hamal kay bare main pata chahle ga or Ectopic hamal kay asarat bhi ziyada hongay. Agar Uterus main hamal hai tu (IUD) nikal kar Iskahat-e-Hamal kia ja skta hai.

  • Iskahat-e-Hamal sirf os waqt kia jaye jub hamein maloom ho kay hospital qareeb hai. Or kuch bhi ghalat honay ki waja se mareez ko hospital le jaya ja skta hai.

 

  • Misoprostol istemal nhi karni chahye agar hamila orat is se ilergic ho ya phir (Prostaglandin) ho. Kisi bhi khatoon ka ilegic hona bht kam hota hai magar is kay bare main information hona bht zarori hota hai. Kuan kay baz okat is sorat main medicine ghalat isarat bhi dikha skti hai jis se khatoon ko masla ho skta hai koi bhi pechedgi ho skti hai. Or nuksan bhi ho skta hai.

 

  • Aisa bhi ho skta hai kay Misoprostol ko istemal karnay kay bad ye dawa kam na kare. Misoprostol se result 90 % tk hota hai or baz okat khoon nhi bhi ata is ka matlab ye nhi kay dawa ne kam nhi kia. Agar dawa kam nhi bhi kare tu ye kuch din okay bad ap dobara bhi le sktay hain. Agar ye dobara bhi kam na kare tu phir imkan ho skta hai kay ye dawa nakli hai.

 

  •  Ectopic Hamal ki waja se bhi 10 % waqt ki waja se bhi ho skta hai. Aisa bhi 6 % tk ho skta hai kay hamal dobara ho ya dawa asar he na kare magar aisa bht kam hota hai. Agar 14 din tk Mioprostol kam nhi karti or koi doctor bhi ap ki madad nhi karta or ap kay pass koi dosra rasta nhi jis main ap dosray mulk safar kar sakay ya kisi bhi khatoon se apna Iskahat-e-Hamal karwa skain tu phir hamari organization www.womenonweb.org se rabta kare ya phir hamal jari rakhain. Aisi sorat main pedaish kay waqt masael ho sktay hain. Ya phir bachay ko jsimani ya demaghi mazoori ho skti hai, Aisi sorat main doctor Safe abortion ka mashwara detay hain.

 

Aik Mumkina Jinsi tor par Muntakil infection ka ilaj kia hona chahye?

Agar jinsi tor pr muntakil infection ka khatra ho tu ITI main jinsi bemariyan samjhi jati hain. Jesay kay (Calamedia ya Gonorrhoea) inhe munasib tareekay se istemal kia ja skta hai. Is tarhan kay masael Rape kay bad paida ho sktay hain.  Mukhtalif mumalik main Iskahat-e-Hamal kanooni tor pr bhi karwaya ja skta hai, ye hamal ka sabab bhi ban skta hai or ye ghair azdawaji talookat ka bhi nateeja ho skta hai. Agar is ka mukamil ilaj na kia jaye tu tambohi tube main sozish barh skti hai. Is tarhan ki sozish PID, Saplingitis, or Andexiti hoti hai.

 

 

Ap Misoprostol Kesay hasil kar sktay hain?

Bht se mumalik main khawateen Misoprostol medical store se ya pharmacy shop se hasil kar leti hain or akeelay he istemal bhi kar leti hain magar ap koi agar masla hai tu www.womenonweb.org pe ham se rabta Karen. Misoprostol or Mifepristone  98 % tk akeelay he istemal kar kay kamyab ho jati hain. 90 % tk Misoprostol se istefada ho skta hai. Magar dono he dawa kam karti hain or result deti hain.  Kuch dawa kay nam Misoprostol, Cytotec, Arthrotec, Oxaprost, Cyprostol, Prostokos, hain, baz okat kuch mumalik main ye doctor ki hidayat ke bina he farookht ho jati hai or baz main doctor ki ijazat or hidayat zarori hoti hai.

Arthrotec kay istemal kay liye doctor ki hidayat zarori hain, kuch khawateen isy apni marzi kay mutabik bhi istemal kar skti hain jin ko is ki information ho.

Misoprostol mehday kay alsar kay liye bhi istemal hoti hai. Misoprostol, Cytotec, Arthrotec, Oxaprost, Cyprostol, Prostokos ye sub dawawoon kay brand names hain jo abortion kay liye mukhtalif mumalik main istemal hoti hai.

Misoprostol or Dicifence Kamar or jorhaon kay dard kay liye bhi istemal hoti  hain. Arthrotec Cytotec kay mukabilay main ziyada mehangi hain.

  • Cytotec  (200mg)  Misoprostol
  • Arthrotec or Artrotec 50 or 75 (200mg)  Misoprostol
  • Cypostrol  Misotrol    (Chile)
  • Prostokos  (25mg)  Misoprostol   (Brazil)
  • Vagiprost  (25mg)  Misoprostol
  • Oxaprost 50 or 75  Misoprostol  (200mg)   (Argentina)
  • Misotac  (Zambia, Uganda, Tanzania, Sudan, Ghana, Egypt)
  • Mizoprostol   (Nigeria)                                       
  • Misine, Misofar   (Spain)                              
  • Isovent    (Nepal, Kenya)
  • Kontrac   (India, Congo)
  • Cytopan  (Pakistan)
  • Artrotec   (Venezula, Hong kong, Australia)
  • Noprostol  , Gustrul   (Indonesia)
  • Astotec    (Bangladesh)
  • Cyrux   (Mexico)
  • Cytill   (Colombia)
  • Misoprolen   (Perce)
  • Wondra (Pakistan)

Is kay ilawa degar adoyat kay nam ye hain.

Gyniso, Misolut, Mosioprostol, Cytolog, Misprost, Prestakind, Zitotec, Misoplus, Prestakind, Zitotec, Mispplus, Cirotec, Gastec, Cystol, Sintec, Misel, Alsoben, Misogon, Arthrofen, Miclofence, Misoclo, Cytomis, Mibetec.

Agar in main se koi bhi dawa chahye ho tu ye pharmacy or medical store pe mil skti hai, agar ap kay mulk main ye available nhi ya ap kay pass dawa khareednay kay paisy nhi tu phir ap hamari organization se www.womenonweb.org pe rabta kar sktay hain.

Ap is mamlay main apnay ghar kay kisi bhi fard ki madad le skti hain kuan kay mard hazarat store ja sktay hain or medicine le sktay hain. Shyed apko aisa doctor bhi mil jaye jo is ki tajweez de, baz mumalik main in ka na milna kismet ki bat bhi masjha jata hai.

Baz okat Cytotec ko mukhtalif tareekon se becha jata hai. Isi tarhan ghair kanooni tarekay se market main jali dawayoon ko bhi becha jata hai. Koi bhi khatoon 12 goliyan (200mg) ki Misoprostol  le skti hai. Ek goli Cytotec or Arthrotec (200mg) Microgram leni chahye. Or os k packet pe tadad or istemal ko dekhna chahye. Agar ye 200mg na ho tu is ki tadad or mikdar ko dobara se gin laen.

 
  

 

 

Misoprostol ka kesay istemal kia ja skta hai?

Aisay Mumalik jin main Iskahat-e-Hamal  ghair kanooni hai wahan khawateen  isay akeelay istemal kar skti hain, magar isy akeelay istemal karnay pe bhari nuksan ho skta hai jo khawateen ki sehat par asar andaz ho ga.

 90 % kamyabi ka chance hota hai is main.

Istemal ka tareeka:

  1. Iskahat-e-Hamal kay liye mcg 200 ki 4 goliyan (800mcg)
  2. Misoprostol ki golioon ko zuban kay nechay rakhna hai, isy nighalna mana hai. Pehle 30 mint tk isy nighanla nhi chahye.
  3. 3 ghantay guzarnay kay bad 4 goliyan dobara zuban kay neche rakhni hain.
  4. Dosray marhalay kay bad dobara 3 ghantay kay bad 4 goliyan zuban kay neche rakhni hain magar phir isay osi tarhan nighanla nhi hai.

 

  1. Agar khawateen Arthrotec istemal kar rahi hon tu sirf 4 goliyan zuban kay neche rakhni hain. Adhay ghantay yahi 30 mint tk in goliyon ko khatam karna hota hai.
  2. Ap goliyon ko khatam karnay kay bad andar wala hisa jo golloin ka hai osy thook bhi skti hain. Andar wali dawa Diclofeno  hoti hai isay nighalna thek nhi kamyabi 90 % tk hoti hai.

 

Khawateen Pehli Misoprostol kay istemal kay bad khoon ka ana or pait ka shakht hona mehsoos kar skti hain. Khoon ka ana 4 ghantay kay bad shoro ho skta hai. Magar baz halat main 4 ghantay se ziyada ka bhi waqt lag skta hai.

 

Khoon ka ana Iskahat-e-Hamal ki pehli nishani hai. Khoon ka ana bht bhari mikdar main ho skta hai, jo aam Mahwari se ziyada ho skta hai. Ziyada khoon ana mahwari or hamal par bhi inhesar karta hai, kay hamal kis stage ka hai. Hamal kay bad kuch hisy is se mutasir hotay hain or kuch nhi hotay. Agar koi khatoon 5 ya 6 haftay ki hamila ho tu osy Theeli zahir ho skti hai. 9 haftoon main khatoon ek Theeli talash kar skti hai khoon kay bahawo kay sth.

Agar khoon kaye haftoon tk na aye tu phir kuch din okay bad pills ko dobara lena chahye. Jahan ye qanoon nhi wahan doctor ko talash Karen.

Jaisy dosray painkiller le kar dard ko kam kia ja skta hai wesy he is dard ko khatam karnay kay liye Ibuprofen, Naproxen,  Diclofenac, Paracetamol, Tylenol, Acetaminophen, or Saylicylic acid Aspirin bhi madad kar skti hai.

Kuch khawateen pani ki garam bottle pait pe dard ko kam karnay kay liye rakhti hain, Bara-e-meharbani dawa kay istemal se pehlay os pe di gayi hadayat parh laen.

Mefenamic acid istemal nhi karni chahye, (Solid & Dolfenal) or Misoprostol anti Spasmodies Bacha dani se Thelli ko Bahir dakhalnay main madad deti hai.  

 

Iskahat-e-Hamal kay bad khoon ka bahawo:

Iskahat-e-Hamal kay istemal kay bad khoon kay bahawoo ka 3 haftay tk imkan hota hai. Baz okat ziyada baz okat kam or is doran waqt ka koi khas taeyoon nhi kia ja skta. Har orat ka jismani tarz mukhtalif hota hai, aksar 4 ya 6 haftay main mahwari khatam ho jati hai.

 

Is bat ko yaqeeni banana kay Iskahat-e-Hamal howa hai:

Kuch khawateen ko Iskahat-e-Hamal kay bina bhi khoon ata hai is liye ye zarori hai kay is bat ko yaqeeni banaya jaye kay Iskahat-e-Hamal howa hai. Ye 2 ya 3 haftay le skta hai. Hamal ka test negative aya hai, agar mumkin ho tu ultrasound karwana chahye, ya test karwana chahye. 7 ya 10 din tk khoon ka ana ya jamna bhi ho skta hai. Ya jamta howa khoon anay wali mahwari kay sth kharij ho jata hai. Agar bukhar, dard, bhari khoon ka bahawoo Indamin-e-Hani  kharij honay wali mada nhi hai ye pait kay andar bhi rehta hai kuch waqt tk.

 

Zamni Asarat:

Boht se asarat main se kuch Matli, Keh, or Ishal hain jo Misoprostol ki waja se hota hai.

JUB BHARI KHOON BEH RAHA HO TU KISI BHI HOSPITAL MAIN KISI SPECAILIST DOCTOR SE RABTA KAREN.